Saturday, August 27, 2011

naseeb in boondo ka


©

hai inka koi naseeb ya nahin maloom mujhe
kabhi badal se to kabhi aankhon se
shayad girna hi hai naseeb  inka

kabhi gaalon par ya kabhi hawaon par
shayad bas sarakna hi hai naseebinka

badal se giri vo meethi boondein,
to nam aankhon se giri vo khaari boondein
shayad naa samjhpaana inhe hi hai naseeb inka

kehte hain boond boond kar saagar banta hai
saagar hi to fir gaagar bharta hai
shayad apne aap ko bhool jaana hi hai naseeb inka

kabhi dil ko kachotkar to kabhi nami to nichodkar
shayad kokh se bichhad jaana hi hai naseeb inka

waqt ke saath mit jaana to hai naseeb sabka
shayad mit kar bhi naa jaana hai naseeb inka

likha hai naseeb na mera aur naa unka
fir bhi har kisi ke naseeb mein aana,
shayad yahi hai naseeb inka.

- bhupesh chandra "baichain"

2 comments:

ciba said...

shayar nahin the tum kabhi
par baat kuch aisi keh di..
boond baarish ka..
boond aankhon ka..
girkar..
mausam aisa tanha kar jaaye..
ki dard pannon pe aa jaaye..
shayad yehi naseeb tha un boondon kaa!!

-Ciba

Sumit said...

Nice one Bhupchan :)