Saturday, August 27, 2011

bewafa mausam

©

ishq sa kuch ho gaya hai mausam se
vajah koi aur do jald hi zaalim
kahin zindagi bhar bewafa mausamtan naa reh jaayein

tamnnaon ki tamanna na kijiye huzoor
tamannagaaro mein se ek tamanna humari bhi hai
gujarish hi jaankar zara mud ke dekhiye
aansuon ki tamanna nahin hai mujhe.


nasha to sirf nazar ka fark hai
nazar mein sirf umar ka fark hai
umar mein to sirf saalon kar fark hai
saalon mein mein mausam ka fark hai
aur mausam mein...sirf nashe ka fark hai.

meri tanhayi ki karo kuch to kadr meere yaaro
naseeb se pehle kab hua kuch mukammal,
saalon sawara meine apni tanhaayee ke is husn ko
kuch hush ki bhi kadr karo mere yaaro.

-bhupesh chandra "baichain"

naseeb in boondo ka


©

hai inka koi naseeb ya nahin maloom mujhe
kabhi badal se to kabhi aankhon se
shayad girna hi hai naseeb  inka

kabhi gaalon par ya kabhi hawaon par
shayad bas sarakna hi hai naseebinka

badal se giri vo meethi boondein,
to nam aankhon se giri vo khaari boondein
shayad naa samjhpaana inhe hi hai naseeb inka

kehte hain boond boond kar saagar banta hai
saagar hi to fir gaagar bharta hai
shayad apne aap ko bhool jaana hi hai naseeb inka

kabhi dil ko kachotkar to kabhi nami to nichodkar
shayad kokh se bichhad jaana hi hai naseeb inka

waqt ke saath mit jaana to hai naseeb sabka
shayad mit kar bhi naa jaana hai naseeb inka

likha hai naseeb na mera aur naa unka
fir bhi har kisi ke naseeb mein aana,
shayad yahi hai naseeb inka.

- bhupesh chandra "baichain"